aa bhii jaao kai zindagi kam hai

aa bhii jaao kai zindagi kam hai by Yamini Das

aa bhii jaao kai zindagii kam hai
tum nahiin ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahiin
shahar mein aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaaNdanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii main mukammal huuN
bin tere terii ‘Yamini’ kam hai *

wah wah muahhhhh :k: very well written

Re: aa bhii jaao kai zindagi kam hai

wow really buhat acha likha hai :k:

thanx for posting :k:

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahiin
shahar mein aaj raushanii kam hai

nice 1 :k:

humm