aa bhi jaao ki zindagi kam hai

*aa bhi jaao ki zindagi kam hai *
*tum nahin ho to har khushi kam hai *

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahin
*shahar main aaj raushani kam hai *

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
*dhoop ziyaadaa hai chaandni kam hai *

*aa_inaa dekh kar khayaal aayaa *
*aaj kal un ki dosti kam hai *

tere dam se hi main mukammal hoon
bin tere teri ‘Yamini’ kam hai

~~~~
Yamini Das
~~~~
Note:
Yamini is a Sanskrit word and means Chandni (Moonlight)

Re: aa bhi jaao ki zindagi kam hai

itnaa kahaa aur likhaa hai phir bhee
aap kaY liye, jo bhee likhaiN woh kam hai

aik dau dhaagoN saY tau mazaa aataa hee naheeN
Iss Forum maiN likhnaY kaY liye tau ik DEEWAAN bhee kam hai :)

Re: aa bhi jaao ki zindagi kam hai

Janaab mujhe teen dhage kholne ki ijaazat hai. Lekin aaj maine chheh dhage khulte hue dekhe hain.:)

Teen se do aur do se ek hone main kam se kam ek do din to lagenge. :)