AA Bhens mujhe maar

Kabhi suna hai ye mahawra ??
Iss ka kia mutlab hota hai

Re: AA Bhens mujhe maar

pehlay tum bhens ban kay dikhao :smokin:

Re: AA Bhens mujhe maar

maray bhans bennay say tumhay kia faida hoga Chacha Stalker

Re: AA Bhens mujhe maar

Dont call me ... m not a Bhens.... wesay yeh muhawarah asal main yoo hai " AA Bell Mujhay Maar "

Re: AA Bhens mujhe maar

Abb Ball aaye ya Bhans donoo mia biwi hai iss say kia farq perhta hai
but iss muhawaray ko kiss situation mai use kertay hai

Re: AA Bhens mujhe maar

Bhaii bhens kay marnay main aur bell kay marnay bohat farq hota hai ,, ayqeen anhi to azma lena :D rahi bat is mohawaray kay istemal ki to yeh jab kaha jata hai jab koi zabardasti apni shamat bulanay par tula hua ho ...i mean khud ko jan boojh kar museebat main dalnay par kaha jata ... AA bell mujhay maaar '

Re: AA Bhens mujhe maar

Bhaii bhens kay marnay main aur bell kay marnay bohat farq hota hai ,, yaqeen nahi to azma lena :D rahi bat is mohawaray kay istemal ki to yeh jab kaha jata hai jab koi zabardasti apni shamat bulanay par tula hua ho ...i mean khud ko jan boojh kar museebat main dalnay par kaha jata ... AA bell mujhay maaar '

Re: AA Bhens mujhe maar

App nay azmaliya kafi hai :D
sukria mutlab batanay ka

Re: AA Bhens mujhe maar

u welcome ... poochtay raha karo ... poocho gay nahi to knowledge kasiay badhay gi :D

Re: AA Bhens mujhe maar

use proper grammer in the mahaVra :smilestar:

Re: AA Bhens mujhe maar

y dont you try chacha chapun chori

Re: AA Bhens mujhe maar

mairee abhi tabiyat theek nahi hay
baad main try karoon ga

Re: AA Bhens mujhe maar

Jo khadda dekh ker us main kuday ussay kehtay hain aa bell mujhe maar
jao kud jaoo

Re: AA Bhens mujhe maar

Bail and bhens… mian bivi :confused:

wot planet are you form :smiley:

Re: AA Bhens mujhe maar

Chacha Ghalib bhans dekho bhans kay rishtaydaroo ko met dekho
kia doodh wala samjha howa hai:naraz:

Re: AA Bhens mujhe maar

Tum kiyun khwah mukhwaah EMM ko bula rahay ho :cb:

Re: AA Bhens mujhe maar

EMM kohn :confused:

Re: AA Bhens mujhe maar

^^ :smack:
EMM ko naheen jaantay aap to aap nay abhee dekha hee kiya hay :devil:

Re: AA Bhens mujhe maar

kabh koi ye nahiN bolta ke "Aa Mamba mujhay kaat" :( this aint fair. :(

Re: AA Bhens mujhe maar

Dekha to mai nay app ko bhi kabhi nahi
aap hi beta day kia cheez hai ye EMM:D