Baaji Hareem aur shardmanny bhai…
Yeh banda ghalat hoga, lekin aap to Musalman ho, tareeke se issey samjhao, diplomacy aur piyar ke saath.
Badtameezi, badkalaami aur bayrukhi hum Musalmano ke zeb nahi deti.
Woh yahaan pe mehman hai, aur mehman-nawazi hamarey mazhab ka ek hissa hai.
Hamaarey Aaqa
sab ke saath intehai narm mizaji ke saath pesh aaya kartey they, apne dushmano ke saath bhi aur hamen bhi unn ki Sunnat-e-Aqdas pe amal karna chahiyey.
Yeh kaafir hotey huwey bhi kitne achey akhlaq ke saath pesh aa raha hai, agar yeh ghalat bhi hai to tab bhi kese apni baat meethey andaaz mein aur intehai aajizi ke saath kar raha hai, inn logon se kuch SEEKHO Musalmano.
Hum Musalmano ka yeh masla hai ke hum jazbaati ho jaatey hain aur aqal se kaam nahi letey. Jo baat aap ghussey se kartey ho wohi baat narm-mizaaji se bhi kahi ja sakti hai, kisi bachey ko agar mein “beta” keh kar bulata houn to woh khush ho jaey ga lekin agar mein ussey “meri jorru ke bachey” keh kar bulaata houn to woh ghussa ho jaey ga ke mene ussey gaali di hai, halaanke baat to ek hi huwi…
Allah Ta’aala farmaatey hain (intrepretation of the meaning)…
AAP APNE RABB KE RAASTE KI TARAF BULAIYYE, HIKMAT AUR ACHCHI NASEEHAT KARKE, AUR UNKE SAATH ACHCHE TAREEQEY SE BAHASS KIJIYE…
Isse shakhs ko apne achey akhlaq se mutasir karo, iss ka dil-o-dimaagh Islam ke liyey jeet lo!!
Agar koi shakhs aap se badtameezi karey ga aur zabardasti apni baat aap ko samjhaane ki koshish karey ga to yaqeenan aap ghussa hongey aur uss ki baat nahi sunnen ge chaahey woh sahi hi kiyun na ho ho lekin wohi baat agar woh aajizi ke saath kahey ga to aap uss ki baat pe ghaur karo ge.
Zionist dehshat gard hain, iss mein koi shaq naheen, lekin badtmeezi karne se Falasteeniyo ke liyey haalaat aur bigrren ge, agar inn logon ne Falstinyon pe zulm karna hai to woh to yeh karen ge, chaahey hum computer pe bethey issey kitna hi kiyun na daant len, hamaarey ghussey se yeh baaz thorri na aa jaey ga, haan lekin agar hum issey piyar se samjhaen to shed iss ki soch badal jaey, shed yeh Islam qubool kar le.
Koi bhi baat karne se pehle ya koi bhi kaam karne se pehle yeh soch lo, ke bhai jazbaat mein aa kar yeh mein kar to raha houn lekin kya iss se Islam aur Muslim Ummah ko faaedah pohnchey ga ya nuqsaan?
Hur cheez ki apni jageh hoti hai, yeh bulletin board hai, yahaan badtameezi, ghussey ya akarr dikhaaney se Musalmano ya Islam ko kuch faaeda nahi honey waala.
Hum Musalman ka masla yeh hai ke hum bherriye ki khaal mein bheyrr hain.