*Unique mode of transportation ?? *
Abey AQ khan. Satheya gaye ho ya poori coke ki derh liter botal pee gaye ho jiski waja se gas tumharey dimagh ko charh gayee hai :aq:
Saari dunya motor cycle pe safar karti hai. dunya main arboon kharboon motor bikes hain. bas ab ju cheez amreeki riayasta haye mutahidda mian nayab hogi tu kia baaqi dunya bhi usey istemal karna chor de
Unique hoga tumhara sar, our usmain choota sa, nanha munha dimagh ![]()
Oh bibi dangerous hai tu helmet pehn kar betha karo na. Patrol ki qeematain asmaan se batain kar raheen hain. In haalat main CD 70 hi tu hamari dharas bandhaati hai. ek liter main 70 kilometer :k: