SURAH FATEHA
Allah kay naam say hai aaghaz
Remaan hai jo Raheem bhi hai(1
Allah kay wastay hai taareef
Jo rabb hai tamam aalamon ka(2
Jo hadd say ziada mehrban hai
Aur hadd say ziada rehm wala(3
Aur roz e jaza ka jo hai malik(4
Hamm kartay hain teri hi ibadat
Aur teri madad hi mangtay hain(5
So hamm ko dikha day seedha rsta(6
Un logon ka rasta keh jin parr
Inaam kia hai too nay apna
Maatoob nahin jo loag teray
Gumraah nahin jo loag yaksarr(7
Transleted in verse by Samina Raja
**GHAZAL
~~~~~
Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain
Taab anjam-e-muhabbat ki bhala kya latay
Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain
Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain
Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?
Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain
Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
Dil yahin,hasrat-e-prwaz mein rakhay huay hain
Ham to hain aab-e-zar-e-ishq say likhay huay harf
Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain
Samina Raja**
**AASHOAB
~~~~~~
Kya aah bharay koei
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuchh oonchi
Kya nazm likhay koei
Jabb khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada'ei ka
Sha'er ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jabb shaer utarnay say
Badal say zara oopar
Taron say zara neechay
Kya khaak likhay koei
Jabb khaak kay medan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth'ta
Jabb shakh pay imkan ki
Iss dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahwar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say
Jabb dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koei aurat
Raton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soei huwi qismat par
Jabb koei bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabin apni
Ik shakhs nahin roata
Jabb neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain
Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do k na abb nangay
Paa'on say chalein ghar mein
Iss farsh pay matti kay
Abb ghaas nahin ugti
Abb saanp nikaltay hain
Deewar say aur darr say
Abb noor ki boondon say
Mehki howi matti mein
Anmoal ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Abb jheel kanaray parr
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koei aurat
Ratoan ko nahin soati
Aur jagnay walon say
Bbb nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koei
Jabb jagnay,soanay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jabb baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuchh farq na reh jaey
Kya baat karay koei !
Samina Raja
**
**
GHAZAL
~~~~~
Tanha, sar-e-anjuman khari thi
Main, apnay wisaal say bari thi
Haan phool thi, aur hawa ki zad par
Phir meri har aik pankhari thi
Ik umr talak safar kya tha
Manzil pay pohanch kay gir pari thi
Talib koi meri naffi ka tha
Aur shart yeh mot say kari thi
Woh aik hawa-e-taaza mein tha
Main, khwab-e-qadeem mein gari thi
Woh, khud ko Khuda samajh raha tha
Main, apnay huzoor mein khari thi
Samina Raja**