Re: A suggestion
Mashwara #1: Aik do maheenay pahlay Election honay ka ishtihar shuru karna chahyay.
Mashwara #2: Sub ko pehlay campain karnay ka mauqa milna chahyay yani aik do maheenay tuk.
Mashwara #3: Sub ko khud imandari say vote dalna chahyay Multi nick ka use naheen karna chahyay.
Multi nik rokna asan to hai per kisi ko kia pata kay aik ghar main rahenay walay sub log atain hon online aur sub ka apna apna account ho. Its impossible to find out if 1 person is making multi nick aur aur many ppl have same IP address.
Jinhain bayimani karna hai unhain to koi naheen rok sakta khuwah wo amdin ho kay mod laikin sub ko khud apnay apnay tor par imandari say kaam karna chahyay yay soch kar kay her choti say choti baat ka Allah kay yahan jawab dena hai.
Mujhay poora yaqeen hai Shikra bhai nain hargiz bayimani naheen ki hogi mujhay wo kafi imandar lugtain (I feel that).
Mashwara #4: IMTIHAN KHATM HONAY KAY BAAD ELECTION HELD KIAY JAIN YANI SCHOOL COLLEGE AUR UNIVERSITY KI CHUTTION MAIN TAKAY SUB ENJOY KAR SAKAIN AUR HISSA LAY SAKAIN. KISI TENSION KAY BAGHAIR. SUB APNAY CAMPAING MAIN ENJOY BHI KARAIN GAY.
BAQIA AINDA.