A "Shauhar - BV" conversation...

SHAUHAR: Aray main nay kaha sonti ho.
BEE-VEE: Tu kia main bahri houn :confused:

SHAUHAR: Aray bay gum, mera yeh matlab nahee tha..
BEE-VEE: Main tumhain khoob samajhtee houn..

SHAUHAR: Achcha bhala bata’o to tum mujhay kia samajhtee ho?
BEE-VEE: Aray tum kuch hotay to kuch samjhtee na!

SHAUHAR: dekho bay gum yeh nahee chalay gi..
BEE-VEE: meray sewa yahan aur kaun chal sakti hai :hoonh:

SHAUHAR: Kash aisa ho sakta!
BEE-VEE: Kia matlab!

SHAUHAR: Bhai ager tum chal sakti tu ab tak yahan say chalee na jatee.
BEE-VEE: Kahan chali jati??

SHAUHAR: Waheen jahan koi aataa jata nahee :ahaa:
BEE-VEE: Main samjhee nahee?? !!

SHAUHAR: Allah ka shukar hai :blush:
BEE-VEE: Yeh Allah ka shukar kiss khushi main ada kia jaraha hai.

SHAUHAR: Tumhari samajhdari per.
BEE-VEE: Hai Allah aap ketnay samajhdar hain. Her waqt mujhay banatay rahtay hain..

SHAUHAR: Bay-gum main Allah Mian ki banayee howee cheez main madakhlat nahee kerta :nono3:
BEE-VEE: Tum nay mujhay cheez kaha? :eek:

SHAUHAR: Sorry main Cheez main “Naa” lagana bhool gaya tha.
BEE-VEE: Ek tu tum bhulakkar bohat ho. BTW tum kiss main kia lagana bhool gaye thay ?? ?? ?? ??

:smack:

:)

:D

larkiyan :halo:

Buddhiyan:rolleyes:

:p…

:hoonh: