a poem on iraq

meray khuda
woh mujhay bhool kyun nahin jatay
azeeyaton mein ghiray, aag mein dehaktay huey
judaiyon ke ghamon mein bharay bilaktay huey
woh sab nafoos jo aahon mein saans laitay hein
meray khuda woh mujhay bhool kyun nahin jatay
woh saray ashk jo daryaon se ziada rawan
jalay woh jism, katay haath saari aah’o fughan
kisi ke zoam mein jo khaak ho gaey woh saray makan
woh aik baiti jise baap deikh na paya
woh jhulse chehray ko dekhay ye taab na laya
woh maan jo lakht-e-jigar ko ganwa ke gumsum hai
jo saans laiti hai per zindagi hi madham hai
darindagi jo kisi haath mein khilona hai
zara si baat pe ik umr humko rona hai
woh aik baat jo insaan ne kahi laikin
us aik baat mein insaniyat ki baat nahin
zameen pe bikhray huey, khoon mein nahai huey
kisi ka jism nahin aur kisi ka haath nahin
mairay khuda woh mujhay bhool kyun nahin jatay
mairay khuda…
woh mujhay bhool kyun nahin jatay!

Touchy :k:

Very Touchy:flower1:…