[[ A poem by Allama Iqbal (bachpan yaad aa gaya) ]]

**Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi shammaa ki surat ho khudaya meri

door duniya ka mere dham se andhera ho jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye

ho mere dam se yun hi mere watan ki zeenat
jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shammaa se ho mujhko mohabbat ya rab

ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

mere Allah burai se bachana mujhko
naik jo raah ho us raah pe chalana mujhko**

Aaj is nazm ki bohut yaad aayi so thought of sharing with u ppl :slight_smile:

Re: A poem by Allama Iqbal (bachpan yaad aa gaya) ]]

aww mujhay bhi school yaad agya
thanks for sharing Ali :)

Re: A poem by Allama Iqbal (bachpan yaad aa gaya) ]]

hmm............
payaree see Dua hai:)
Awesome

Re: A poem by Allama Iqbal (bachpan yaad aa gaya) ]]

Yeh dua hum chotay thay to school mein parhtay thay assembly mein :slight_smile: Thanks alot Prince Paai For Sharing And Recalling old sweet memories related to this Dua :bb: