Main kitni warftigi se usay suna raha tha
wo sari baatain wo saray qissay
jo us se milnay se paishtar
meri zindagi ki hikayatain thin
main keh raha tha
kay aur bhi log thay
jinhain meri aarzo thi meri talab thi
kay jin se mohabbaton ka raha ta’aluq
kay jin ki mujh per inayatain thin
main keh raha tha
kay un main kuch ko tu maine
jaan se aziz janaa
magar unhin main se baaz ko
meri be dilli se shikayatain thin
main aik ek baat
aik ek jurm ki kahani
dharaktay dil kaanptay badan se suna raha tha
magar wo pathar bani
mujhay is tarah sunti rahi
kay jaisay meray labon per
kisi muqaddas tareen,saheefay ki ayatain theeN…
**Ahmad Faraz
**