aksar ye savaal zahn ko preshaan kartaa hai ki aaKhir hamaare vujuud kaa maqsad kyaa hai. is savaal kaa javaab to mere paas nahiiN hai, haaN savaal zaruur ek nazm kii shakl meN aap ke saamne pesh kar rahaa huuN. hasb-e-saabiq, aap ke taassuraat jaanne kaa ishtiyaaq rahegaa. ![]()
chalte chalte maiN Thahar jaataa huuN aur sochtaa huuN
zindagii kaun se kaamoN meN bhalaa sarf huii
kin maqaasid ke liye vaqf kiyaa apnaa badan
zahn uljhaa rahaa kyaa mas.ale suljhaane meN
dekhiye to Gham-e-dunyaa nazar aataa hai faqat
vuhii do vaqt kii roTii, vuhii tan par kapRaa
sar chuupaane ko vuhii ek makaaN chhoTaa saa
vuhii shuhrat kii tamannaa, vuhii kaavish zar kii
martabe kii vuhii Khvaahish, vuhii taaqat kii talaash
kyaa yahii haiN vo maraahil jinheN sar karne ko
mujh ko aanaa paRaa jannat se utar kar yaaN tak?
**Waseem Ahmed**