“Khaamoshii” baatain karti hai
Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou…
Gaanay walay panchi saaray
Lout aain gay
Teri hansi itni piyari
Khil uthtee hain kaliyaan saari
“Weerani” baatain karti hain
Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou…
Phoolon walay mausam saaray
Lout aain gay
Ujli rut sey naatay aaisay
Kirno main gum kirnain
“Taareeki” baatain karti hai
Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou…
Har aghyari shab ko taaray
Lout aain gay
Apnay dil ki baatain kahna
Ek doojay sey mil kay rahna
“Tanhai” baatain karti hai
Mujh sey kahti hai tou bolay gee tou…
Teri khaatir jeevan dhaaray
Lout aain gay
bahut khobsurat kavish
Very nice....
nice .. thanks for sharing :k:
bahut khoob dania thanks 4 sharing!!
Re: “Khaamoshii” baatain karti hai
[QUOTE] *Originally posted by Dania_2000: * *** “Khaamoshii” baatain karti hai Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou… Gaanay walay panchi saaray Lout aain gay Teri hansi itni piyari Khil uthtee hain kaliyaan saari “Weerani” baatain karti hain Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou… Phoolon walay mausam saaray Lout aain gay Ujli rut sey naatay aaisay Kirno main gum kirnain “Taareeki” baatain karti hai Mujh sey kahti hai tu bolay gee tou… Har aghyari shab ko taaray Lout aain gay Apnay dil ki baatain kahna Ek doojay sey mil kay rahna “Tanhai” baatain karti hai Mujh sey kahti hai tou bolay gee tou… Teri khaatir jeevan dhaaray Lout aain gay *** [/QUOTE] :k: ** Hum Labon Se Keh Na Paaye, Unse Haal-E-Dil Kabhi Aur Woh Samjhe Nahin Ye Khamoshi Kya Cheez Hai **“Khaamoshii” baatain karti hai
Simply a beautiful nazam Dania :-)
is it your own?
Wah.. wah :k:
:k:
nice, .... I liked it :)
buhat khoob....very innocent!