a nice ruba'ee by Amjad Islam Amjad....

kahan aa ke rukay thay raaste! kahan morr tha! ussey bhool ja
woh jo mil gaya ussey yaad rakh! woh jo na mila ussey bhool ja

kyoon atta huwa hai ghubar me; gham-e-zindagi ke fashaar me
woh jo darj tha tere bakht me so woh ho gaya ussey bhool ja

Amjad Islam Amjad



        MUGHAL          ya mujhe afsar-e-shaahana banaaya hota
         _.+._          ya mera taaj gadaayana banaaya hota 
       (^\/^\/^)        
        \@*@*@/         nashaa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
        {_____}         umar ka tang na paimaana banaaya hota

o well…
lets just post the whole ghazal…
its all good

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www.gupistan.com/gallery/1/phpWRAI47.gif

V nice AG


~kabi alwida na kahNa~

one of my fav... Thanks for sharing :)

bohat hi khoooob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

very nice amal bhai..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

i just love this one…
challo unn logoon kay liay jo urdu nahien parh saktay hain yeh lo main iss ko pura post karr dayta hoon…

===============
ghazal

kahan ruknay thay aa keh raastay kahan more tha ussay bhool jaa
woh jo mill gaya usay yaad rakh jo nahien milla ussay bhool jaa

woh teray naseeb ke barishain kisse aur chaat par baras gayeen
dillay bay khabar mairee baat sunn usay bhool jaa usay bhool jaa

main to gum tha tairay he dheyan main tayree aas tayray gumman main
saba keh gayee mairay kaan main maiay saath aa usay bhool jaa

kise aankh main nahien hai ashkay gham tayray baad kuch bhee nahien hay kam
tujhay zindagee nain bhulla dia tu bhee muskara ussay bhool jaa

kaheen chaakay jaan ka riffu nahien kisse aasteen peh lahoo nahien
keh shaheeday rahay milal ka nahein khoon baha ussay bhool jaa

kyoon aata hoa hai ghubar main ghamay zindagee kay fishaar main
woh jo darrgg tha tayray bakht main so woh hoo gaya ussay bhool jaa

naa woh aank hee tairee aankh thee na woh khawab hee tera khawab thaa
dillay muntazar to yeh kiss liay tayraa jagnaa ussay bhool jaa

yeh joo raat dinn ka hai khail saa issay dekh iss par yakeen na karr
nahien aaks koe bhee mustakill saray aaena ussay bhool jaa

joo bisaatay jaan hee ulat gaya woh jo rastay say hee say palat gaya
ussay rooknay say hasool kya ussay maat bulla ussay bhool jaa

to yeh kiss liay shabbay hijjar kay ussay haar sitaray main dhoondna
woh falak keh jiss par millay thay humm koee aur thaa usay bhool jaa

tujhay chaand baan keh milla tha joo tayray sahillon peh khilla tha joo
woh thaa aik daryaa wissal kaa so woh uttar gaya ussay bhool jaa

		"Amjad islam amjad"

mairay dill mairay mussafir