agar kabhe mere yaad aye
to chand ratoan ke narum dilgeer roshne main
kisi sitaray ko daikh laina
agar woh nukhla-e-falak say ur kay
tumharay qadmoan main aa giray to
yeah jaan laina keh
woh mera dil tha
magar yeah mumkin hay kis tarah kay
tum kisi pay nigah dalo
to us ke dewar’ay jaan nan tootay
woh apne haste nan bhul jayae
agar kabhe mere yaad aye
to guraiz kerte hawa ke lehroan pay haath rukhna
main khushbu’oan main tumhain milun ga
mujhay gulab pattiyoan main talash kerna
main oas qatroan kay ayenoan main tumhain milun ga
agar sitaroan main, oas qatroan main, khushbuoan main
nan pao mujh ko
to apnay qadmoan main daikh laina
main gurd hote musaftoan main tumhain milun ga
kahin pay roshan charagh daikho to soch laina
kay her patungay ke rakh main
main bhe jul chuka hun
tum apnay hatoan in pataungoan ki khak durya main dal daina
main khak bun kay samandaroan main safar karun ga
kisi nan daikhay huyae jazeeray pay ruk ker tum ko sadayain dun ga
samandaroan kay safar pay niklo to is jazeeray pay bhe uterna
is jazeeray pay bhe uterna!!!