A master piece by Parvin Shakir

sundar komal sapanon kii baaraat guzar gaii jaanaaN
dhuup aaNkhon tak aa pahuNchii hai raat guzar gaii jaanaaN

bhor samay tak jis ne hamein baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar gaii jaanaaN

sadaa kii dekhii raat hamein is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar gaii jaanaaN

kis konpal kii aas mein ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar gai jaanaaN

log na jaane kin raaton kii muuraadein maaNgaa karate hain
apanii raat to vo jo tere saath guzar gaii jaanaaN

Re: A master piece by Parvin Shakir

very nice........coolpeepa thnx for sharing........

Re: A master piece by Parvin Shakir

Nice one... Tnx COOL :)