A list of top ten dialogues in Hindi movies (Yeh aap kiya keh rahey hain, bhai sahab)

  1. Kuttay, Kameenay, main tumhey jaan sey maar doonga.
    
  2.  Main tumhara ehsaan zindagi bhar nahin bhoolonga.
    
  3.  Itnay paisay tum kahan sey laaye?
    
  4.  Main tumharay bina mar jaa-oongi.
    
  5.  Bacchhhaaaaaooooo.....
    
  6.  Yeh anyay hai bhagwan.
    
  7.  Batao, heeray kahan hain?
    
  8.  Tum mairey liyey mar chukey ho.
    
  9.  Police meeray peechay lagee hui hai.
    

And the number one statement is…

  1.  Mai tumharay bachey ki maa bannay waali hoon.
    

** Here are the best of the rest…
**

  • Ghar mein do jawan betiyaan hain.

  • Lo…muh meetha kar lo.

  • Mein yeh shaadi nahin honay doongi.

  • Aaj pinky ka janam din hai.

  • Yeh aap kiya keh rahein hain, bhai sahab?

  • Bhaiyya!!!

  • Maa, tum kitnee achee ho.

  • Aaj mein buhat khush hoon (usually to be followed by a tragic turn of events)

  • Arrey issey to taiz bukhaar hai.

  • Nikal jaa merey ghar sey.

  • Hato naa, log kiya kahengey.

  • Khabardaar jo mujhay haath bhee lagaya.

  • Tumney apnee maa ka doodh piya hai to…

  • Jug jug jeeyo beti/beta.

  • Gurkha, isey dhakkey maar key bahir nikal do.

  • Main ney tumhey paal pos kar bara kiya.

  • Ab tumari maa hamarey qabzay main hai.

  • Police ko tum jaisey naujawanon par naaz hai.

  • Driver, gaadi roko.

  • Eik baar mujhe maa keh kar pukaro beta.

  • Aur yeh bechari begunnah hai. That’s all, your honor

  • Tazeerat-e-hind , dafa 302 ke tahat, mulzim ko maut ki saza sunai jaati hai.

  • Mulzim ko Baa-izzat bari kiya jata hai

  • Ab hum kisi ko muh dikhaney key laiq nahin rahey.

  • (Hero/heroine opening their eyes on a hospital bed) Main kahan hoon?

  • Kiya isi din key liyey tujhe paida kiya tha?

  • Yeh sauda tumhay buhat mehanga parega.

  • Bhagwan, maine aaj tuk tumsey kuch nahin maanga, aaj pehli baar kuch maang raha hoon.

  • Qanoon kay haath buhat lambay hotey hain.

  • Aey jee! Aap bade woh hain!

Re: A list of top ten dialogues in Hindi movies (Yeh aap kiya keh rahey hain, bhai sahab)

:hehe:

thanx 4 sharing :smokin:

Re: A list of top ten dialogues in Hindi movies (Yeh aap kiya keh rahey hain, bhai sahab)

:rotfl:

Re: A list of top ten dialogues in Hindi movies (Yeh aap kiya keh rahey hain, bhai sahab)

:rotfl: thx 4 the important info

Re: A list of top ten dialogues in Hindi movies (Yeh aap kiya keh rahey hain, bhai sahab)

LOL