mirage
1
Barang e Majnoon, sitam guzeeda, mai teri rahon pe chal parha hon
Mai gardishon mai ghira hua hon, mai gard mai, gard ho chala hon
Mohabbaton mai dawaam kaisa, ye kya hikayat suna rahe ho
Ye aik pal javidan hai, mujhey samaito, bikher raha hon
Mai rang e darya, wo mauj e sehra, mai be karaan aor saraab hai wo
Wo mujhko rasta dikha raha hai, mai charh raha hon, utar raha hon
Wafa ki wadi ko ja rahe ho, tumhara bhi mujhsa haal na ho
Shajar ka zard ashk ban gaya hon, khizan se rishta nibha raha hon
Na shauq e azm e junoon baqi, na assra, intazar baqi
charagh e sheri sa hogaya hon, sulag raha hon, pighel raha hon
Ye tishna ankhein faraib nazri ki ab aziyat na seh sakengi
Tum apne daway sanbhal rakho, mai rayegani se ashna hon!
Re: A ghazal
ghazal is very beautiful.. is it ur own?
S.786
3

buhut hi aala,umda andaz-e- bayan hy ...thanks
mirage
4
Forsure. shayd tarz mardana hai isliye ap ko shak hua 
K337
6
Re: A ghazal
nice ,u used hard words:D
lolx.. nahi aisi baat nahi..
actually itnay mushkil alfaaz ka istimaal aaj kal buhat uncommon hai.. jabhi was surprised.. as well as impressed..
keep sharing..
abeeha
9
very beautiful mirage…keep it up:lajawab:
Re: A ghazal

wah sahib … bohat khoob
mujhe lag raha hai shoa’ra-e-gupshup forum kay din phirnay waly hain… we’ve got some very talented poets and poetesses here
mirage
11
thanks pingu. Yea they are like fits 
mirage
12
thanks redi, muddi, and abeeha.
Re: A ghazal
very nice gazal. really gets to the core of and points it all out to beyhisee itself.