**
"Sunn!! kay zubaaN pay waqt kay sadaa-e-zameer kiya hai?
Hukumraan-e-waqt kay labouN pay likha kiya hai?
Hai jin kay darbaar-e-khaas maiN jhoolti zanjeer-e-Adal
Maaloom khud unhaiN naheeN Muqaam-e-Jahaangeeri kiya hai?
Hai Jiss kay haath maiN laaThi, wohi chalaa rahaa hai nizaam
Fik’r faqeer ko kiya kay hukum-e-YazdaaN:swt: kiya hai?
Rahay naik woh haakim daal kar Bu Hanifa:rehm: ko Qeyd maiN
Un kaa aur Qeydi-e-waqt kaa dekh lo ab muqaam kiya hai?
Makhlooq-e-Khuda banaa daalaa shehnshaahouN nay Quran ko
Imam-e-Hanbal:rehm: har daur maiN Allah nay tub hee paida kiiya hai
JhaileeN haiN sa’oobataiN peghambarouN nay har daur maiN
Bar-khilaaf-e-Hukum-e-haakim Baraaheem:as: kaa ImaaN kiya hai?
Manzil-e-Hast-O-Bood maiN azam-e-buland naheeN khail Anwaar
Dekh khol kar Quran kabhi, maqsad-e-hayaat wahaaN likha kiya hai?"
**
yeah from our very own guppie → Anwaar Qureshi
Enjoy. 
I really hate it sometimes that my urdu isnt that good 
… amazing:flower1:
thanks for sharing:flower1:
wah Mashallah
very nice :k:
btw
where is AQ …why he asked u to post it ???
:k::k::k:
wowwwwwwww
zabardast AQ
writing skills hur aik hey paas nai hoteen:-(
where is Anwar Bhai ??
the urdu is too hard to understand for moi :( - my loss
Re: a familiar voice again..
“Maaloom khud unhaiN naheeN Maqaam-e-Jahaangeeri kiya”
My favorites in it are: 
**
Hai jin kay darbaar-e-khaas maiN jhoolti zanjeer-e-Adal
Maaloom khud unhaiN naheeN Muqaam-e-Jahaangeeri kiya hai?
Hai Jiss kay haath maiN laaThi, wohi chalaa rahaa hai nizaam
Fik’r faqeer ko kiya kay hukum-e-YazdaaN:swt: kiya hai?
**
MashAllah Bohat Khood !!!
bohut khoob:k: MashAllah 
tano tappi: i think i was gona post it:snooty: :-p
thanx anyways:hug:
ohh wowwww…
itni mushkil urdu 
dangggg 
lekin seriously…jus LOVED the parts that i did get…
especially the last verse…thats jus…WOW…if u understand it…
Anwaar unkil keep up the great work 
ur a great poet indeed 
that was one zabardast piece of riting :k:
n thanx for sharing tano 
AQ
18
Thank you everyone:)
and Thanks to Tano for selecting to post this poem :p