Just wanted to share:
Bulalo pir mujhey eh shahe behrobar madine mein
Main pir rota hua aaoun tere dar par Madine mein
Main pohnchoon kooey jaana mein gareeban chaak seena chaak
Gira de kaash mujhko shauk tarpa kar Madiney mein
Madiney jaaney walo jao jao fee amaanillah
Kabhi tho upna bhi lag jayega bistar Madiney mein
Salaam e shauk kehna haajion mera bhi ro ro kar
Tumhey aaye nazar jab roza e anwar madiney mein
Payam e shauk lete jao mera qaafilay walo
Suna na daastan e gham meri ro kar Madiney mein
Mera gham bhi to dekho main para hoon door teba se
Sukoon paayega mera bas dile muztar Madiney mein
Wahan ik saas miljaye yehi hai zeest ka haasil
Vo kismet ka dhani hao jo gaya dam bhar Madiney mein
Na daulat de na sarwat de mujhe bas yeh sa’aadat de
Tere kadmon mein marjoun main ro ro kar Madiney mein
Chalo chaukat pe unki rak ke sar quran ho jaye
Hayat e jaan vidaani paayengey mar kar Madiney mein
Paaye taqleev sunnat tu jahan rakhey magar eh kaash
Main khwabon mein pohnchta hi rahoon aksar Madiney mein
Main yaadon mein pohnchta hi rahoon aksar Madiney mein
Tassawur mein pohnchta hi rahoon aksar Madiney mein
Madina iss liye ATTAR jaano dil se hai pyara
Ke rehtey hai mere Aaqa mere dilbar Madiney mein
Bulao pir mujhey eh shahe behrobar Madiney mein
Main pir rota hua aao tere dar par Madiney mein