zakhm-e-dil chupatay hain ansoon ki bastee mein
tab he muskuratay hain ansoon ki bastee mein
Hum say baat karnay ko ranj saree dunya k
Raat din bulatay hain ansoon ki bastee mein
Gar ye he muqadar hai tu issi andheray mein
Hum bhi ghar basatay hain ansoon ki bastee mein