*~
Un kay dar pe pohanchne tou paaiN,
yeh na pochoo kay hum kia karaiN gay
Sar jhukaana agar juram ho ga
hum nigahoN say Sajda karaiN gay
Baat bhii terii rakhnii hay saQii
Zarf ko bhii na Ruswa karaiN gay
Jaam day ya na day aaj hum ko
ma’yQaday maiN SaweRa karaiN gay
Iss taraf apna da’man jalay ga
Uss taraf unki mahfiL sajay gii
Hum andheray ko Ghar meiN bula kar
Unkay Ghar meiN UjaaLa karaiN gay
Ba’at tarQay ta’luQ ki Anwar
itna ahsas-e Rasm-e-wafa hay
Akhrii Sans tak bhii hum unsay
be-Rukhi ka na shikwa karaiN gay