Aap sab kay liay January ka khaas tuhfaa… umeed hay aap apne raye say zaroor nawazein gay…
**
January lout aayee hai
**
Wohi galiyaan wohi koochey wohi sardi ka mousam hai
Issi andaz sey apna nizam-e-zeast barham hai
Ye husn-e-ittefaaq aisa kai nikhree chandni bhi hai
Wohi har simt veerani udassi tashnagi si hai
Wohi hai bheer souchoun ki wohi tanhaiyaan phir sey
Mujhey sab yaad hai kuch saal pehley ka ye qissa hai
Wohi lamha tou ik aaabaad veeraney ka hissa hai
Meri aankoun main who ik lamha-e-moujood ab bhi hai
Who zinda raat merey sath lakhoun baar jagi hai
Kisi ney raat ki tanhayee main sargoushiaan ki thein
Kisi ki narm guftaree ney dil ko louriaan di thein
Kisi ney meri tanhayee ka sara karb banta tha
Kisi ney raat ki chunree main roushan chand tanka tha
Chamktey jugnoun ka seel ik bakhsha tha ratoun ko
Dharkta sa naya unwaan diya tha merey khwaboun ko
Merey shairoun main who ilhaam ki soorat utra tha
Ma’ani ban kai jo lafzoun main pehli baar dharka tha
Who jis kai honey sey zindagi nagma sarayee hai
Ussey kehna kai bheegi January phir lout aayee hai…

Ussey kehna kai bheegi January phir lout aayee hai....
[/QUOTE]