Sorry its a long 1…
but i found it touchy n worth to post b/w such nice pplz… so tell me how do u find that…
** ¸ø¤º°`°º¤ø¸ Tribute - 2 - Titanic ¸ø¤º°`°º¤ø¸ **
doobrahi hoon dekho
raat ka gehra sannata hai dil bhi doobta jata hai
gehra samandar charoun janib paas apney ik takhta hai
takhtey par do hath hain merey takhtey par ik hath hai uss ka
main ney jana main ney samjha sahil tak dounou pouhnchein gai
lehar lehar lartey jayein gai hans kai gum sehtey jayein gai
ta ba had-e-nazar pani tha yakh pani tha takhta behta jata tha
ham bhi behtey jatey they takhtey par do hath they merey
takhtey par ik hath tha uss ka takhta behta jata tha
mujh ko kia maloom tha janaan kismat main ab likha kia hai
tum ney kia qurbaani di hai main tou doobti jati hoon
tum ney chaha tum mar jao mujh ko jeewan detey jao
main pagli ye samjh na payee
takhtey par do hath they merey takhtey par ik hath tha uss ka
woh tou doobney wala hai,woh tou marney wala hai,sath chorney wala hai
main bhi kitni nadaan thi
main ye samjhi chahat apni sahil tak aa jaye gi
main ye samjhi kismat apni manzil par ley jaye gi
takhtey par do hath they merey takhtey par ik hath tha uss ka
uss ka hath woh choot gaya mera dilbar doob gaya
main sahil tak zinda pouhnchi takhta merey hath main tha
pani main woh doob gaya hai
gumkai dariya main lekin main aisey doobi
kia ye bataon kaaaash main uss kai sath hi doobi,marti
doobney wala doob raha hai
takhtey par do hath they merey takhtey par ik hath tha uss ka
sahil sahil sath chalein gai,kehney wala kehta tha
lekin!!!woh tou doob gaya hai …