¸ø¤º°`°º¤ø¸Ab Aur Kiya Chahiay¸ø¤º°`°º¤ø¸

**
Ab Aur Kiya Chahiay **


choori ki khanak
jhanjar ki jhanak
ankho’n ki chamak
chehray ki dhanak
zulfo’n ki lachak
anchal ki mehak
sanso’n ki dehak
nabzo’n ki dhamak
mathay pe tilak
seenay pe silk
thorri si jhalak
meethi si kasak

** ab aur kiya chaahiye **

chehray pe haya
mukhrray pe ziya
palko’n pe diya
honto’n pe dua
sanso’n mein saba
seenay mein wafa
bato’n mein nasha
hatho’n mein shifa
chanchal si hawa
wo shokh ada
her rup naya
her rup juda

** ab aur kiya chaahiye **

her phool pe bahaar
her kali pe nikhaar
her gali lalazaar
her shakh samrdaar
koil ki pukaar
her dam hi qaraar
her morr ku’e yaar
her waqt didaar
mujhay tera aitbaar
tujhay mera aitbaar
mujhay tujh se piyaar
tujhay mujh se piyaar

** ab aur kiya chaahiye… **