30 seconds ko jane do
Extra smilies ko aaney do
Himmat hai aur Jazba hai
Fridge pe mera kabza hai
Haar kabhi na maaney gey
Kya kar saktey hain, deeth hain
Humara haqq hum ley kar raheN gey
Warna phir jail mai jayeN gey :hinna:
Gupshup pe insaaf do
Mujhe ley ke Ipod do
tum protest kartay raho
fridge sey cheezain khaatay raho
Aik waqt aisa bhi aaye ga
Tumhara motaapa haath sey nikalta jaaye ga
Extra similies nahi milni tum ko
Itni si baat nahi samajh aati tum ko
Waqi mein tum ho baray hi dheet
Magar nahi honi tumhaari koi jeet
Chalo mil kar deal kar laitay hain
Tum insaaf lay laina, hum Ipod lay laitay hain
Aisa hargiz nahi ho ga
Main kar doo ga Boga
Fridge bhi mera hai, Aur cheezeiN bhi hain meri
Pani ke saath Biscuit khane wali bata, kya aukat hai teri
Tu aati hai aur phir ghayeb ho jati hai
Post karte wakt dimaag mai 8 hi ki parchi lehrati hai :hinna:
Ab kya kareiN ke limit aath ki hai
tum ne bhi ghairoN ki tarha baat ki hai
Deal ho na ho, wo baad ki baat hai
Moka acha hai ley do, aaj kal sale pe Ipod hai
mairi aukaat ka kia kehtay ho
soraakh waali jarabein tu khud pehantay ho
Ipod tu ho gaya hai ab puraana
ab tu aa gaya hai Iphone ka zamaana
8 smilies ki baat kartay ho
awein tum is baat ki buraai kartay ho
nahi koi cheez nikammi zamaanay mein
koi bura nahi qudrat kay kaarkhanay mein
Tumhari aukat mujh se behtar kon janta hai
Khud rangeen jurabeiN pehnti ho, yeh zamana manta hai
Mere liye to phir bhi hai iPod ka zamana
Ab iss farz ko zara tum hi nibhana
Kasoor yehi hai ke smilies ki rapptt darj karwayi hai
Bara kharab zamana hai yaaro, free ke maal mai bhi mehngayi hai
haan tu fashion ka khiyaal mujh sey behtar kon hai rakhta
laal suit key saath laal jaraabon ka jorRa hai sajta
apna kaam khud karna seekho
Ipod nahi, tu radio per gaana sun lo
smilies ki report tu darj kara li tum nay
magar saath mein dollors ki parchi nahi lagai tum nay
Ghareeb loug, Fashion ko karte hain worship
Ghareeb loug, Kachi Abaadi Lahore Township
Ipod aur Radio mai fark hai janaab
Sootey ne bhi aap ko kar diya hai kharab
Suna tha rapptt free mai ooper jati hai
Aaj pata chala ke unn ke saath parchi bhi lehrati hai :no:
model town ko kaha tum nay kachi abaadi
sootay nay tu ki hai kia kia barbaadi
ameer log tu daikho, ipod maangtay phirtay hain
kanjoos log, report kay saath dollars bhi nahi lagaatay hain
Maine jo kaha wo aap ne parh liya :halo:
Uff Allah, maine yeh kya kar diya
Ipod iss liye manga ke mera gift tha due
Bari Ishmart to dekho, zara bhi nahi iss baat ki clue
Dollar lagaaney ki yaar zara bhi khabar nahi thi
Warna coupons ki booklet mere paas hi pari thi
is dafa ki ghalati ko mai nay maaf tu kar diya hai
tum bhi kia karo gey yaad, kisi Cool sey waasta parRa hai
gift kis baat ka due hai, zara hum bhi tu sunein
aap nay kia maarka maara hai, yea bhi bataa dein
50-50 cent ka coupon rakhnay waalay log
clue ki baatein karnay walaay chotay chotay log
waisay chalo tumhari baat maan laitay hain
aakhir ko tum sey kabhi kabhi chatting ju kartay hain
blank check bhaij du, hum Ipod bhaij dein gey
un ko coupons ki parchi laga du, wo smilies allow kar dein gey
Tumhari baat ka jawab mai baad mai doo ga
Ab neend aa rahi hai, iss liye so jaoo ga
Agar yeh thread lock ho gayi to PM/MSN mai baat kartey hain
Aur phir Nemo ki khwahish Ipod se hi poori kartey hain
Nice floodin with you after a long time. Will catch up with u later. Allah Haafiz
Admins: Yaaro koi kaaghzaat ya petition waghaira sign karwana hai tou batao