7/27/2007 ki mohabbtain

1

usay bhool jaa, bhool jaa
vo bhool chuka hai tum ko
shaadi bhi karnay waala hai
ab ek doosri larki say

kyon roti phirti
uski yaad main tarapti ho?
uski mohabbat jhoothi thee
bhool ja bhool ja tu ab us ko


2

aisa lagata hai jaisay
sooraj bhi naraaza hai
*saray din se badlon k *
pechaay chuppa hua hai

din main andhera par raha hai
meri ruu ka saans akhri hai
*mera dil udaas, aur tumay *
is ki kyaa parwaah hai

kitnay zaalim ho tum
dil churra k chor gayey
hum tarptay reh gayey
tum hum ko bhool gayey


3

dil ka khel ab na khelo
tumara dil bayeemaan hai
agar pyaar hum se hota
to kyon hamain chor jaatay?

hum tumara rah dekhtay hain
tum ghaeb huey phirtay ho
kya sab k dil tor kar hi
tum kushi main rehtay ho?


4

mohabbat ki pyaas main mar raha hoon
din raat tumain soch raha hoo
khaana peena bhool chuka hoon
gallion main paglon ki tarah
dewaana huey ghoom raha hoon

mujh se tumari mohabbat thee
tum ko hum se mohabbat thee
lakin tumaray abbaji nay na maani
humari mohabbat ki kahaani

ab kya karain, haaey kya karain
doston ko yeh daastaan sunaata hoon
vo hanstay hain aur kehtay hain
*kyaa too pagla hai? *

kyaa vo koee pari hai?
kyaa bataaoon main unko
tu hi meri jaan hai
to hi meri sab kuch hai.


5

jab se tum chali gayi hai
nazmain tumaray naam par likhata hoon
raat ko need nahin aati
teri soch main hi laita rehta hoon

jab tu meray saath thee
hum khushi main maaray jaatay thay
ab aklelay hi tanhaee main
teri yaad main maaray jaatay hain

lagta hai marna hi hamaray liya likha hai.

Re: 7/27/2007 ki mohabbtain

nice liners, rkopra.
central theme is metaphorical of?

Dushwari

Re: 7/27/2007 ki mohabbtain

Thanks.
"central theme is metaphorical of" aaj ki yahaan ki mohabbatain.