5abi jab pakistan 20-20 hara to roz vodka peene lag gya. Uski girlfriend nay usay bohat mana kiya kay 5abi na karo, its not good, magar wo har waqt Sukshinder Shinda kay ganay laga kar boltay peeta rehta.
Uski girlfriend ko kissi nay mashwara dia kay usay kaho YOGA kia karay! is say wo FIT ho jaye ga.
5abi roz 10 ghentay YOGA karta raha, YOGA ki sab keetabaiN par leeN, in end he became a YOGA EXPERT!
Uski girlfriend say us banday nay poocha…“SO tell me YOGA say 5abi ko koi faida hoa”? to 5abi ki girlfriend boli …“Faida ye Pohcha hai kay ab wo sar kay bal bhi kharay ho kar sharaab pee sakta hai”.