Hum say kya puchtay ho hijar mein kya kartay hain
Teray lout anay ki din raat dua kartay hain
Ab koie hont nahi in ko churanay atay
Meri ankhon mein agar ashk hua kartay hain
Teri tu janay par ay jan-e-tamana hum to
Sans kay sath tujhay yad kiya kartay hain
Tu he pehlo mein nahi warna december mein wahien
Dhoop mein baith kay akhbar parha kartay hain
Kabhi yadoon mein tujhay banhoon mein bhar laytay hain
Kabhi khaboon mein tujhay choom liya kartay hain
Teri tasveer laga laytay hain hum seenay say
Phir teray khat say teri bat kiya kartay hain
**
Gar tujhay chornay ki soch bhi aiye dil mein
Hum khud ko bhi wahien chore diya kartay hain**