Teri Judaai Say Hai Duniya Ka Her Ghum
Yaadain Teri hain, Mere Dil Ka Mer-Hum
Khyalon Main Ho Tum Meray Her Dum
Bus Aaa jao Dil Main meray Aye Hum Dum
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
Aanson ki zaban hoti hai
Ye bhi akser kalam karti haiN
Mere aanson ko gour se dekho
Ye bhi tum se kuch kehti hain
Sheeshe ke gharon main dekho to
Putther dil wale buste hain
Jo pyar ko khail samajhte hain
Aur tor ke dil ko haste hain
log chalay jaatay hain
un ki yaadein rehjati hain
ek pal main saree zindagi
yoon badal jati hai
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain Torna
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka
Teri aankhon ki udhasi mujhe karti hai udhas
tere tanhayee ke ehsas se dil tanha hai
jagti tu hai tu thaak jati hai aankhen meri
zakham jaltey hai tere darad mujhe hota hai
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai
«::~Ä GööÐ Héå®t ϧ Bëttë® Thäñ Ä££ HëåЧ Ïñ Thë Wö®£Ð~::»
[This message has been edited by Dania_2000 (edited February 20, 2002).]