Asalam U Alaikum all my friendz I hope u are all fine by the blessings of Almighty ALLAH.
**Bohat din baad aik nazm Amjad Sahab ki seedhi dil main utri socha aap logon se share karoon.Hopefully true poetry lovers Loves it
N i dedicate **
This nAZm to Zamil cuz He LoVes JhOn aYlIA’s PoEtRy !!
Jhon Aylia k Liye Aik Nazm !!!
Tha woh ik ajab sitara
Kisi aur kehkashan ka
Kisi aur kehkashan main
Keh ho jaisay koi manzar
Kisi aur daastan ka
Kisi aur daastan main !
Usay main ne jab bhi dekha
Kisi aur dhun main paya
Woh talash kar raha tha
Rah-e- waadi-e- sukhan main
Kisi roshni ki jhilmil
Kisi wahmay ka saya !
Woh tha ik ajab sitara
Sar-e- Asmaan tanha
Kabhi dhondta tha khud ko
Kabhi waqt ka kinaara !
Woh tha shayari main zinda
Usay zindagi ne maara
Thi talaash,jiski uss ko
Usii aagahi ne maara !!
Chalta hoon Khush Rahiye Amin !
BeInG lOnEly !! SiD !!!