Re: 337 ki baswaas
Hamari dictionary main to koi kaam bar’a kaam naheen sub asan hai bus dil razi ho aur Allah pay kamil (mukammal) yaqeen to kia karay ga qazi.
Hum nain naheen kari thi dushmani buchchon ko par’hati naheen theen hum nain shikayat kar di principal say principal nain kaha teacher kay samanay bolo gi bulwaon hum nain kaha haan. Unhon nain bulwaya aur kaha aap buchchon ko parhati naheen hain unhon nain kaha haan parhatay hain hum nain kaha saboot dikhao hum nain buchchon ki copiaan dikha deen jo maheenon say kuch naheen par’haya tha. Kia ghalat kia tha.
LOL.
Bayshak doosron kay buchchay thay per dil hamara kur’hta tha kum uz kum haftay main aik din hi par’ha dayteen.
Phir kia tha
Such bolo dushman bano.
So wo khud baneen hum nain naheen banaeen.
Hum nain to sirf such bama e saboot kaha tha.
Aap batao kia yay ghalat kia tha.