Re: 3 Ks of Desi Babas
der aayad, durust aayad
aHsaas jab ho jaaye, jahaN ho jaaye, jaise ho jaaye! it’s a welcome move!
maiN ek baar jamaa’at-e-tableeGhii ke saath ek gaaoN meN ba’d namaaz e 'asr gasht par gayaa to gaaoN ke ek saqqa [paanii bharne waalaa, mashaki] milaa…use maGhrib kii namaaz ke ba’d hone waale ishtem’a ke liye bulaayaa to us ne jo jawaab diyaa us par mujhe aaj bhii Hai’raanii hotii hai…but, i have to admire his honesty! this is what he said:
“saaHib [solutation for zameendaar by his praja], saarii jindagii to namaaj paRhii nahiiN, ab buDhaaii meN Allah MiyaaN ko kia dhokaa denaa!” ![]()