Re: 2nd ODI Pakistan vs India
Chahey kahin, bhi tum raho, Chahengey tumko umar bhar, Tumko na bhool payengey.
Intezaar, intezaar, intezaar, nahin hota yeh intezaar. Buhat kar liya intezaar, ab waqat cut-ta nahin karney sey intezaar. Kiya cheez hai yeh intezaar, aur itney dukh kyon deta hai yeh intizaar? Kiss aashiq nay kiya tha itna intezaar, jiss ki saza aaj tuk hamein bhugatni par rahee hai kar kay intezaar? Aakhir yeh aisi kiya bala hai, kiya jadoo hai, hum to dunya bhool gaye kar kar kay intezaar. Ab nahin hota yeh intezaar. Cheen lo meri dunya, ley lo mer daulat, band kar do merey raastay, bus, eik baar......eik baar us aam kay pairre ki kasam, jiss kay neechey hum bachpan mein saath mill kar khaila kartey thay. Kasam hai uski, mujhe yeh mera intezaar wapis la do. Mein mar jaonga, tabah hojaonga, barbaad hojaonga. Merey buland hoslon ka intehaan na lo, merey sabar ka daman na naapo. Ley aao, ley aao, ley aao. Meri dunya, haye o rabba meri dunya.
Dhobi Bhai,
Did you by any chance, lay your hands on my bottle of Scotch, coz it surely is missing, and you surely are :D sounding Drunk