:salam: dostoo … Happy Pakistan Day
Gupshup ke saare dostoon ko meri taraf se bahut bahut mubarak ho …
Over six decades ago, Quaid-i-Azam Mohammed Ali Jinnah had led the independence movement that culminated in the establishment of separate homeland for the Muslims despite resistance by the British rulers and the Hindu Congress.
Allama Iqbal’s dream was thus redeemed as the Quaid responded to his vision with resolve, commitment, sincerity and devotion. He virtually fought single handedly to carve out Pakistan.
http://i43.tinypic.com/2qklzwl.jpg
Khuda ki khaas rehmat hai
buzurgun ki bashaarat hai
kayee nasloun ki qurbaani
kaye nasloun ki mehnat hai
asaasa hai jiyaaloun ka
shaheedoun ki amaanat hai
jab hee tareekh ne rakha hai
is ka naam pakistan
andheroun ko mitaaye ga
ujaala ban k chaaye ga
yeh qissa inqilaabi hai
naye duniya banaye ga
agar Allah ne chaaha to
zamana woh bhi aye ga
jahan tak waqt jaaye ga
isey aagey hee paaye ga
nida qaayed ki hai iqbaal ka inaam
pakistan pakistan pakistan pakistan
mera peghaam pakistan
http://i44.tinypic.com/jj5qhg.jpg
**Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
Yeh chaman tumhara hay
tum ho naghma khwan iss kay
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
iss chaman kay phoolon par
rung o aab tum say hay
is zameen ka har zarra
aftab tum say hay
yeh faza tumhari hay
behr-o-bur tumhaaray hain
kehkeshan kay yeh jagay
rehguzar tumhaaray hain
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
is zameen ki maTTi main
khooN hay shaheedon ka
arz e pak markaz hay
qaum ki umeedon ka
nazm-o-zabt ko apNa
meer-e-karwan jaNo
waqt kay undheron main
apNa aap pehchaNo
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
yeh zameen muqadas hay
maan kay pyar ki surat
is chaman main tum sab ho
barg-o-bar ki surat
deKhNa gun.vana mat
daulat-e-yaqeen logon
yeh watan amanat hay
aur tum ameen logon
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
meer e Karvan hum thay
rooh e Karvan tum ho
hum to sirf unwan thay
asl dastan tum ho
Nafraton kay darwazay
khud pay bund hi raKhna
is watan kay parcham Ko
sar baland hi raKhna
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
Yeh chaman tumhara hay
tum ho naghma khwan is kay
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay**