aik jaga bethay lower limb revise ker rahay hotay hain, jab un mein say aik daikhta hai k door say aik baba ji langratay huay aa rahay hain. Wo doosray ko kehta hai: Wo dekho aik baba ji aa rahay hain. Mujhey lagta hai un ki taang ki haddi tooti hai, isi wajah say wo langra rahay hain.
Doosra kehta hai: Nahi baba, ye to saaf lagta hai k un k paoon ki haddi tooti hai. Tum nay dekha nahi wo kis tarah langra ker chal rahay hain.
Dono thori dair is baat per behas kertay hain, phir aik kehta hai: Chalo aao, hum un say khud hi pooch lain.
Jab unhoon nay baba ji say poocha to wo kehnay lagay, Nahi bhai na to meri tang ki haddi tooti hai or na paoon ki. Meri chappal toot gai hai.
![]()
Re: 2 Doctors.....
LOL :D