P_G
1
Agar app motor cycle per kahin ja rahe hain,to 2 batein hoon gi.ya tou app gir parein gay ya nahin.
agar nahin tou koee baat nahin,aur agar app gir pare tou doo batien hoon gi.
ya tou app kay chout ayy gi,ya nahin
agar nahin tou koee baat nahin.aur agar app kay chot ayee tou doo batein hoon gi
ya tou app thiek hoo jaein gay ya nahin
agar app theik hoo gaye tou koee baat nahin.aur agar na huay tou doo batien hoon gi
yaa tou app zindah rahein gay.ya mar gaien gay
agar app zindah rahe tou koee baat nahin
aur agar app mar gay tou doo batein hoon gi
ya tou app jannat main jaein gay ya jhanaum main.
Iss liye app motorcycle per baithne see pehley yeh zaroor sooch lein keh app jannat main ja rahe hain ya jhanaum main!!!
Sadaf
2
Re: 2 baatain !
Main motor cycle pe isilieye nahin baithti 
Re: 2 baatain !
kon parhay itni sari urdu 
Re: 2 baatain !
I'll defenitly will think abt that..before i'll sit on a motorcycle..:D
Re: 2 baatain !
Thats why I have hired a driver for my motorcycle 
Re: 2 baatain !
^ aap baat nahi karte apne driver se jab aap unke peeche bethe hote hain..?
Re: 2 baatain !
Main driverooN kay moo nahi lagta 
Re: 2 baatain !
to phir aap apne driver ko kaise pakarte hain..? 
Re: 2 baatain !
male driver hai ya female driver..?

Re: 2 baatain !
Jee kabhi ghaur say nahi daikhaa 
Re: 2 baatain !
2 batain ho saktiiiiiiiii hain.. sanum tere inkaaar kee… 
Re: 2 baatain !
Waisay bhi mujhay uss say motorcycle chalwani hay
nikah nahi karna 
Re: 2 baatain !
zara dekhiye to sahi..
mujhe to wohi lag raga tha..
Re: 2 baatain !

**
PG aqal ko haath maaro :p**
Re: 2 baatain !
Tobah kitna fazool time hay is larki kay Paas
Re: 2 baatain !
kiu kia ap roz motorcylcle per jatey hein kia:hoonh:
Re: 2 baatain !
^ Haan jaata hoon magar kabhi kabhi 
Re: 2 baatain !
motorcycle chalanay ka jo maza hai woh gari which kaha ;)
Re: 2 baatain !
I love my CYCLE :punjabi: 