**Kal Mere Shehr Mein
**zindagi par sabhi raastay band thay
or ajal apni raahein banaati rahi
habs-e-jaa’n k liye aik jhonka na tha
baad-e-sar-sar diyon ko bujhaati rahi
fasl-e-gul ko na izn-e-safar mil saka
aur aandhi qayamat machaati rahi
paa-ba-zanjeer kar di gaee roshni
zulmat-e-shab siyaahi barhaati rahi
reh mein lut’ta raha khwaab ka kaarwaa’n
reh-zani manzilein apni paati rahi
phir gaey doar ki ibtidaa ho gaee
kal mere shehr mein intehaa ho gaee ![]()
- Atleast 35 people left dead as a result of violence in Karachi on 12th May 2007
nisaar mein teri galiyon pay aey watan k jahan
chali hai rasm k koi na sar utha k chalay
jo koi chaahnay waala tawaaf ko niklay
nazar chura k chalay, jism-o-jaa’n bacha k chalay