10 nov 2012 k din shaam assar say maghrib k doraan 10 bikes or us per total 20 afraad gulshan iqbal block 2 main aye or wahan mojood madrasa ahsan ul uloom k students jo shaam ko chai peenay k ley qarebe hotel main jaama hotay hain un per wehshyaana firing kee gayee yahan tak k students jub madrasay ki teraf bhaagay to woh bikes baqaaida un k peechay galioon (streets) main gayeen or un ko shaheed kia gya ..deene tulaaba ki laashain galioon main peree hoyen theen ..
yeh khabar shaid 100 main mushkil say 10 % logoon tak pohnche ho kion k hamaray so called media or news papers nay is ko bohat dhakay chupay andaz main byaan kia gaya ..halankay yeh baqaaida ik planned attack tha..or ik hafta guzarnay k bawjood koi pata nahi lag saka k kis nay kia
yeh students bhi yahan ILM hee hasil kernay ayee thay in ko maarnay ka reason bhi in ka yeh Deen ka talib-e-ilm hona hee tha
is 3 din pehlay madrasa jamia ashrafia gulistan-e-jauhar per CID ki teraf say baghair kissi saboot kay chappa mara gya..firing ke gayee ..student ko shaheed kia …
ramzan main jamia dar ul uloom corangi per hamla hoa
jamia farooqia kay assatiza ko shaheed kia gaya
pooray pakistan say madaaris or un k ustaaz or talib-e-ilmon per hamlay ki khabrain aa rahee hain
lakin koi talk shows ,koi day ,koi afsos ,yahan tak k hamray **yeh GS ka PA forum tak main ik thread bhi is per nahi
**
mujhay hayrat hote hay ka non muslims k POP k ley bhi logoon nay 2 min silence kia..lakin hamaray yeh muslman bhai apnay masjid madarsoon k ley insaaniat wala jazba bhi nahi rakhtay…agar koi khabar day bhi day to afsos k ik lafz ki jagah hazaroon ilzamaat ki list pakra daytay hain
Malala per attack ko education per attack kaha gya to kia deen ka ilm ilm nahi hai? quran seekhna ilm nahi hai ? hadees perhna ilm nahi hay ? is ki wajah say students ko shaheed kerna ILM per attack nahi hai ?
is waqt pooray pakistan main sub say pur amman tabqa hee madaris ka hai or is ka wazih saboot yehe bat hay k un per musalsal attack ho rahay hain un k students na haq wehshiyaana tareeqay say shaeehed hotay hain
lakin koi tyre nahi jalya jata .koi bus nahi jalaye jate, un ka janazay kub uthtay hain or kub dafnaaye jatay hain kissi ko khabar tak nahi
**wifaqul madaris or ulmaa-e-jamiyat ki teraf say kal 16 nov 2012 ko pooray pakistaan main yoom-e-muzam’mat hai …tamam ulma-e-karam or imam-e-masajid say kaha gya
hay k woh jummay kay byaan main her nahaq khoon behnay
ki muzammat kerain,..khuwah woh kisi bhi tabqay say rakhnay wala insan ho jissay baygunaah maara gaya !
pur amman tareeqay say ik aytajaj-e-awaaz buland kee ja raahe hai ..madaaris ki teraf say lakin sirf apnay tulaba ya madaaris k ley nahi bulkay her pakistani or her karachi main nahaq qatal honay waloon k ley
yeh iqdaam un zubaano ko band kernay k ley kaafe hay jo madaris ko dehshat gerdi ki ad;day kehtay hain
or
un logoon k ley jo apnay app ko bohat insaaniat ka alamberdar samjhtay hain lakin un ka dil sirf makhsoos logoon k mernay ya zakhme honay per terapta hay
**