shayad aap iss topic ko parh kar aik dam chounk jaien keh yahan pata nahien kis qisam ki guftagu honay ja rahi hay lekin meray nazdeek yeh aik aisa topic hay keh jis per ham sab ko buhat clear honay ki zaroorat hay kyun keh meray nazdeek yeh hamari social life ka aik buhat ahem pehlo hay. thorha buhat jo main janti hun aap kay sath share karon gi aur aap say bhi umeed karti hun keh iss baray main aap jo kuch jantay hain mujhay bhi us kay baray main bataien
note: yeh aisa topic hay jis main alfaz ka intakhab buhat sooch samjh kar kya ja’y ga takeh koi aisi baat na ho jo forum kay rules kay khilaf ho.
Sex ya Jins say murad kisi bhi insan ka Allah Talla ki taraf say mard ya aurat hona hay
Gender ya Sinf say Murad Qudrat ki taraf say ata karda roles, responsibilities aur rights hain jo us nay mard ya aurat ko ata kyay hain
yahan aik buhat eham sawal peda hota hay keh gender aur sex kitni hain
jab bhi yeh sawal utha hay iss ka jawab 2 aya hay halankeh iss ka sahi jawab 3 hay
1. Aurat (Female)
2. Mard (Male)
3. Khusray (Eunuchs)
Eunuchs ko ham nay yahan bhi aisay hi Khuda ki makhlok say nikal rakha hay jesa keh apni society say jis ki wajha say wo mukamal isolation ka shikaar ho kar reh ga’y hain ham main say ziyada tar log inhien sirf hansi mazaq aur dil lagi ka zarya samjhtay hain aur meray nazdeek yeh Allah Tala ki makhlok ka mazaq urhana hay jo hamien aik insan aik ashraf-ul-Makhloqat honay ki hesyat say zaib nahien deta
hamien yeh realize karna hay aur dosron ko bhi karana hay keh khusray bhi Insan hain aur Ashraf-ul-Makhloqat hain aur in kay bhi society main wo hi haqooq hain jo ham mard aurton kay hain meray paas iss baray main kehnay ko buhat kuch hay lekin yahan shayad itni lambi baat na ho sakti ho bahar haal agar aap logon ko iss topic main interest howa tou iss per baat hoti rahay gi.