Fiza mein kanch k jugnu uchaal daita hai
Woh chahaar su meray aansu uchaal daita hai
Mein aab aab pukaroon jo tishna kami mein
Woh piyaas piyaas lab-e-ju uchaal daita hai
Mein jab bhi baat karoon talkheeyaan bhulanay
Woh ikhtilaaf ka pehlu uchaal daita hai
Bhatak na jaaon mein rasta bus is khayal say woh
Hawa mein zulf ki khushbu uchaal daita hai
Hamara dil to woh tifl-e-shareer hai AGHA
Jo chand daikh k bazu uchaal daita hai~