aj kal mohabbat mehboob sy mum aur us ki cheezon sy zyada hoti hai.. ub wo jazba nhi raha jahan mehboob k saath jhonpri mein bhi guzara karna acha lagta tha..u know aj kal jesy hi mehboob bankrupt.. wesy hi mohabbat ka the end
shayad abhi bhi iss duniya main be-laus muhabbat karne wale mojud hain.. tabhi to ye dunia baqi hai
muhabbat adhoori bhi ho hoti to muhabbat hai na... koi lamha raigaan nahin hota.. adhoori muhabbaten bhi insaan ki jhooli bhar jati hain
be-shak... but insaan ko rog bhi to laga jati hain na umr bhar ka.. na agy ka chorti hain na peechy ka...lekin in sub mein b ek lazat hai... meetha sa dard b bht pyara hota hai na
be-shak... but insaan ko rog bhi to laga jati hain na umr bhar ka.. na agy ka chorti hain na peechy ka...lekin in sub mein b ek lazat hai... meetha sa dard b bht pyara hota hai na
ye to insaan per hai ke wo ek tajrube main ulajh kar umr guzar de ya agle paRawo ki taraf nikal paRe
sahi kaha.... lekin insani dil itna bunjar nahin hota ke ek muhabbat ke baad us per doosri muhabbat ki fasl na utre
lekin pehli mohabbat dil sy nikalti nahi na... aur shayed majboori ya samjhoty ki khatir doosri mohabbat apnayi b jaye.. lekin ager khud k bus mein ho to kabhi koi na chahy doosri mohabbat
lekin pehli mohabbat dil sy nikalti nahi na... aur shayed majboori ya samjhoty ki khatir doosri mohabbat apnayi b jaye.. lekin ager khud k bus mein ho to kabhi koi na chahy doosri mohabbat
aap ne Babar Javed ka drama 'mera pehla pyar' to dekhna shroo nahin kar dia?