zahir kisi pay hale-e-pareshan na tha kabhi

Re: zahir kisi pay hale-e-pareshan na tha kabhi

har chund gham bhi tha magar ehsas-e-gham na tha
darmaa’n na tha tuu to matam-e-darma na tha kabhi

din bhi udaas aur meri raat bhi udas
asa to waqt aye gham-e-doraa’n na tha kabhi

dor-e-khizaan mai you meray dil ko qarar hai
mai jasay ashna-e-bahara’n na tha kabhi

kya din thay jub nazar mai khizaan bhi bahar thi
yu apna ghar bahaar mai weraan na tha kabhi

waah waa kia kamal ki poetry g :rose: