Yeh mooh aur masoor ki daal!

Re: Yeh mooh aur masoor ki daal!

no its not complete story .. khaansaamaN nawab say kehta hay k mera standerd yehe hay main is kam quallity ki daal bana hee nahi sakta

phir nawab us khansman ko nikal daita hay or dosra khaansaaman rakh layta hai…jub nawab ki mehbooba khaana khate hay to us ko khaana pasand nahi ata or woh nawab ko kehtee hay usee poranay walay ko bulaao

khaansman mehbooba ki narazgee say der ker apnay nokrooN ko bhejta hay k jaao us ko wapus laao

jub yeh log us khaansaamaN kay pas pohanchtay hain or kehtay hain wapus chalo tumhain nawab sahab bulra rahay hain

to is waqt woh kehta hay ** yeh moonh or masoor ki daal .**..main nahi jata ab : D

or yeh wqiya bhawalpoor kay sikh nawaab kay sath hoa tha