A Poem By Amir Bin Ali,
Buhat hi muddat ke baad kal jab
kitaab-e-maazi ko main ne khola
buhat se chehray nazar main utray
buhat se naamo'n pe dil paseeja
aik aisa safha bhi iss main aaya
likha hua tha jo aansuon se
ke jiska unwaan 'hamsafar tha' tha
jo safha sab se he mot'barr tha
kuch aur aansu phir uss pe tapke
phir uss ke agay main parh na paaya
kitaab-e-maazi ko band ker ke
tumhaari yado'n main kho gaya main
ager tuu milta to kesa hota
inhi khayalo'n main so gaya main..
wah wah wah nihayaat shandaar intikhab Ahmer:)