Re: yaaay holidays from GS
na ro bachaa… hugs door say hi
hamain na to koi yaad karta, na koi pukaarta, na koi htread kholta… aisay main ham nay apni koofa main rehna hi behtar jaana… ![]()
phir wahan dasht-e-tanhai main zamanay ki gardd girti gai, koofa matiyaali hoti gai, bahar jaanay k raastay madhamm honay lagay… phir aik oonchay tree ki shaakh meray koofay kay door par aagri aur phir sab raastay band hogaiai…
aaj aik bakri tehalti howi meray koofay ki taraf ayi, aur door par lagay nanhay munnay plant ko kha gai… tab jakar kuch roshni ander ayi… phir main bhi uss roshni ko dhoondtay howay bahar nikla… daikha to samanay GS tha… bass raha na gaya aur post dia…
How are you ? hugs