Y?

Re: Y?

:frowning:

Hamesha der kar detaa hoon maiN Gupshup par aanay maiN
Zaroori post karni ho, koi dhaagaa jo kholnaa ho
kissi ko welcome hi kehnaa ho, kissi ki saalgirah manaani ho
Hamesha der kar detaa hoon maiN
madad karni ho usski, yaa kissi ko ullu banaanaa ho
bahut dereenaa dhaagoN maiN flood aisaa jo laanaa ho
Hamesha der kar detaa hoon maiN
BadaltaY topics ki ser maiN dil ko lagaanaa ho
Kissi ki batti jalaanaa ho, kissi ko chup karaanaa ho
Hamesha der kar detaa hoon maiN
Kissi ko online maut saY pehlaY, bann honaY saY bachaanaa ho
Haqeeqat aur thee kuch jaa kaY Admin ko bataanaa ho
Hamesha der kar detaa hoon maiN Gupshup par aanay maiN