umeed hai aap khareeyat say hogi,hum bhi theek hain.
ap kyunkeh aap ki taleem mukammal ho chuki hai aur ab aap ki ammi bhi aap ke liye fiqar mand hain to hum ne socha unki mushkil asaan ki jae.Ammiyan to hoti hi isi liye hain .
Main aj kal jahan reh rahi hoon , mere ghar ke pas wale talaab main kafi maindak hai jahan kahbhi kabhi kuch larkay bhi aa jaya kartay hain.Ap ki ammi bata rahi theen keh aap ke yehi zid hai keh ek maindak say hi shaadi karein ge.hum ek maindak ko jantay hain jo zara dekhnay main behtar hain aur humein umeed hai shayed aapki ammi ko bhi pasand aa jain ge.khat kay saath unki tasweer bhijwa rahi hoon.humein aap ke jawab ka intezaar rahe ga