hahahah 
Meri pyaari pingu
Asalam o alaikum. Umeed hai mera khat tumhain tumharay 45th pound lose honay kay waqt milay. Yahan sab ka haal theek hai. Bhai jaan ka haal kaisa hai? unhon nay hair replacement karwani thi, karwa li?** sochti hoon baal wapis lagwanay kay baad kitnay bandaron jaisay lagain gain na.
**
haan bas yaar mainay aik side business khol liya hai, organic farm ka. sari family lagi hui hoti hai us main. us say fursat milay to main tumhain kabhi khat likhoon na. aur zaroor zaroor, tumhain sabziyaan zaroor bhaijoon gi, agar tum kabhi meray ghar to ao. tumhain takreeban 10 saal ho gaye hain meray ghar aye huay. aur peechli dafa jab ayi thi to kanghi mangnay ayi thi. ab to tumharay baal bhi saaray jhar gaye hain, ab to kanghi wapis kar do jaan.
acha chalo ab main chalti hoon. aaj prime minister kay ghar dawat hai, aur tumharay bhai jaan nay mujhe aik naya diamond ka set laa kar diya hai, woh daikhna hai meray kaun say suit kay saath match karta hai. HSY ya Karma ka. apnay 8 bachon ko meri taraf say toffee dayna. bhai jaan ko kehna sar par zayada haath na phairain kahin naye baal na jhar jain.
tumhari azeezan dost
khumar.