Word of the Week

Re: Word of the Week

*Wo DOST **yaad **aaye Bhulate Bhulate
Dil k zakham ubhar aaye chupate chupate

Sikhaya tha jis nay gham main muskurana
Rula diya aaj usi nay hansate hansate*

Re: Word of the Week

*Kesi ko Meri **yaad **aaiee ek arsa huwa
koi hay hairaan to koi tarsa huwa

is terha khamosh hain ye dil ye ankhien meri
jaise khamosh ho koi badal barsa huwa*

Re: Word of the Week

Zamane k sawaloo ko main hans k taal don liken *
*Nami ankoon ki kehti hay k muje tum **yaad **aate ho ...!

Re: Word of the Week

Umer-e-rawa'n guzar rahi hai **Yaad-e-Khuda* se ghafil.....
Aey dil sambhal bhi ja k bohat dair ho chuki ....!*

Re: Word of the Week

Hum woh bedard hain k
Khawb luta ker bhi jinhain neend aa jatee hai
Toot phoot ker bhi jin k zehnon ko kuch nahee hota
Ro ro ker bhi jin ki aankhain
Muskarana nahee bhooltein
Ujar,bikhar ker bhi jin k dil
Dharakna **yaad **rakhtay hain
Hum woh bedard hain k
Jin k aansoo,aankhon ka rasta bhool ker
Dil ki wadi mein girtay hain
Aur girtay hi chalay jatay hain
Hum woh bedard hain k
Shaam say pehlay mer janay ki khawhish mein jo
Jeetay hain aur jeetay hi chalay jata hain

Re: Word of the Week

Aankh ki dahleez pe tikay jaltay khawb
Aur phir un k azab
Zehn o dil pe bohat bhari hotay hain
Aur
Phir taqdeer k kuch war bohat kaari hotay hain
Dard ka samay tal bhi jaye tou
Dil sanbhal bhi jaye tou
Naqsh reh jatay hain
Kuch batain bhooli nahee jatyin
Kuch batoun mein, Kuch **yadoun **mein
Kisi k Aks reh jatay hain

Re: Word of the Week

Re: Word of the Week

jab yaad ka album kholoon tu kuch loug bohat yaad aate hain
main apna bachpan sochoon tu kuch loug bohat yaad aate hain
*
*ab jaane kis nagri main ja kar soiay howe hain barsoon say
main raat gaiay tak jagoon tu kuch loug bohat yaad aate hain

kuch batien thi pholoon jaisi, kuch khushboo jaise lehje thay
main sehan-e-chaman main tehloon tu kuch loug bohat yaad aate hain

jab panchi lout kar aatay hain aor shaam ki lali parhti hay
main jheel kinare baithoon tu kuch loug bohat yaad aate hain

in ulti seehdi raikhaoon ko pehron choma karte thay
main apni hathaili daikhoon tu kuch loug bohat yaad aate hain

*wo pal bhar ki narazgiyaan aor maan bhi jana pal phar main
ab aksar khud say routhoon tu kuch loug bohat yaad aate hain
*

Re: Word of the Week

Tera Dard Tha,
teri aas thi,
mai jider gaya
mai jahan gaya
mera din to yunhi guzar gaya,
yunhi shaam hoie mai bikhar gaya
is aber ka meray yaar say,
kitna milta julta mizaaj tha,
kabi tooot kar bars gaya,
kabi bay-rukhi say guzar gaya
koi baaat b na keh saka,
bus thorhi dair ka sath tha,
wo mila raat khawab mai,
junhi subah hoie bicher gaya
jab chorh doon ga mai wo gali,
usay **yaad **aiay ge tab meri,
wo dhonday ka mujay gali gali
aor
khabar milay gi mai MAR gaya.........

Re: Word of the Week

Re: Word of the Week

barishoon k mosem main
tum ko **yaad **karnay ki
adatien purani hain
liken
ab ke baar ham nay socha hay
adatien badal dhalien
phar
khayal aya k
adatien badalnay say
barishien nai ruktien

Re: Word of the Week

Koi Mujh Ko Aisee Daleel DeY
Keh Main Toott KaR
Tayray Naqsh Ankh Ki Putliyoo'n Say Mitta Sakoo'N
Koi Mujh Ko Aisee Dalee DeY
Keh Main Dil Say PhiR
Tayri Umer Bhar Ki Rafaqatoo'n Ko Bhulaa Sakoo'N
Koi Mujh Ko Aisee Daleel DeY
Keh Main Umer Bhar
Tayri Yaad Ka Koi Jashan Hee Na Mana Sakoo'N
Agar Aisee Koi Sabeel HaY
Tou Phir AazmaA
Jo Nahee'N Tou PhiR
MUJHAY Yaad Kar , MUJHAY Yaad Aa

Re: Word of the Week

Muqad'dar K Sitaroo'n PaR
Zamanay K Isharoo'N PaR
Udaasi K Kinaroo'n PaR
Kabhi Veeraan Shehroo'n MaiN
Kabhi Sunsaan Rahoo'n PaR
Kabhi Hayraan Aankhoo'n MaiN
Kabhi Bayjaan Lamhoo'n PaR
Tumhari Yaad Chupky SaY
Koi Sargoshi Karti HaY
Yeh Palkain Bheeg Jaati HaiN
Tou Aansoo Toott Girtay HaiN
Hum Palkoo'n Ko Jhukatay HaiN
Bazahir Muskuratay HaiN
Faqat Itna Hee Keh Paatay HaiN
Mujhay Kitna Satatay Ho
Mujhay TUM Yaad Aatay Ho
Mujhay TUM Yaad Aatay Ho

Re: Word of the Week

Phir saawan rutt ki pawan chali,tum yaad aaye
Phir patton ki paazaib baji,tum yaad aaye

Phir koonjein boleen,ghaas ke harey samunder mein
Rutt aayi peele phoolon ki,tum yaad aaye

Phir kaaga bola.ghar ke soone aangan mein
Phir amrat rass ki boond pari,tum yaad aaye

Pehle to main cheekh ke roya aur phir hansne laga
Baadal garja,bijli chamki,tum yaad aaye

Din bhar to main duniya ke dhundon mein khoya raha
Jab deewaron se dhoop dhali,tum yaad aaye

Re: Word of the Week

YaaD-E-MaZi MaI Jo AnkHoN Ko SaZa Di Jaye,
Is Say Behtar HaI K’ HaR Baat BhuLa Di JaYe..

Ne ApNo K RawayoN SaY Ye MeHsoOs KiyA,
DiL K AnGaN MaE B DeWaaR UtHa Di JaYe..

MaE Ne YarOon K BhicHarNe SaY Ye SeekHa ”MOHSIN”
Apne DusHman Ko B JeeNe KI DuA Di JaYe

Re: Word of the Week

*yaad nahin kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab laute apanaa bhii ghar bhuul gaye *

Re: Word of the Week

Masroof Zindagi Main Teri Yaad K Siwa
Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Puchney...

Re: Word of the Week

Yaad Rakhoo Tu Dil K Paas Hain Hum
Bhool Jao Tu Fasla hain bohat...

Re: Word of the Week

Re: Word of the Week

Dil dharakne ka sabab yaad aayaa
Woh teri yaad thi ab yaad aayaa

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat mein ajab yaad aayaa

Din guzara tha bari mushkil se
Phir tera wadaa-e-shab yaad aayaa

Teraa bhoolaa huaa paimaan-e-wafaa
Mar rahenge agar ab yaad aayaa

Phir kaee log nazar se guzre
Phir koee shehr-e-tarab yaad aayaa

Haal-e-dil ham bhi sunate lekin
Jab woh rukhsat hue tab yaad aayaa

Baith kar saayaa-e-gul mein ‘Nasir’
Ham bohat roye woh jab yaad aayaa